Surah qadr quran e karim ki 97 surah hai. Is surah mein Allah tala ka ki barai ,uski kudrat aur uske fazal ka bayan hai . surah qadr quran mein panch waqt ki namaz ke bad parhi jane wali amal ke liye jana jata hai ,jise “leilatul kadr” ke nam se bhi jana jata hai. Leilatul kadr ramjan ke akhri ashre mein aati hai. Aur is rat ko bari fazilat di gei hai.is rat mein allah ki rehmat aur magfirat ka darwaja khulta hai aur yeh rat kuran ke najil hone ki ipteda karta hai .

Surah Qadr ki Fazilat aur Ahmiyat

Surah Qadr ka parhna ek azeem ibadat hai. Yeh surah insani zindagi mein sukoon aur barkat ka zariya hai. Is surah ko parh kar insaan Allah ki qurbat mein aata hai aur usay imaan mein izafa hota hai. Lailat-ul-Qadar ke amal ka sawab farishton ke amal se bhi zyada hai. Isliye har Musalman ko is raat ko ibadat aur tauba karne ka behtareen mauqa samajhna chahiye.

Is raat ki ibadat mein raat bhar tahajjud, Quran ki tilawat, dua aur istighfar ka amal shaamil hota hai. Is raat mein jo bhi dua ki jaati hai, use Allah qubool farmata hai. Yeh raat akhri ashre ke 10 dino mein aati hai, isliye har Musalman ko apni ibadat aur duaon ko in raston par zyada ahmiyat deni chahiye.

Lailat-ul-Qadr ke faide aur ahmiyat ko samajhkar har Musalman ko is raat ko ibadat aur tauba karne ka behtareen mauqa samajhna chahiye. Surah Qadr ki tilawat aur Lailat-ul-Qadar ki ibadat karke har Musalman apne imaan ko mazboot kar sakta hai aur Allah ki rehmat aur maghfirat talab kar sakta hai.

Surah Qadr: in hindi and tarjuma 

 Bismillaahir Rahmaanir Raheem

 Innaa anzalnaahu fee lailatil gadr 

Wa maa adraaka ma lailatul gadr

Lailatul gadri khairum min alfee shahr

Tanaz zalul malaa-ikatu war roohu feeha bi izni-rab

bihim min kulli amr

Salaamun hiya hattaa mat la’il fajr

Tarjuma: 

Beshak humne is (Quran) ko

Shab–e-Qadr mein nazil kiya hai,

Aur Aapko kya Malum ki

Shab-e-Qadr Kya hai,

 Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai

 ismein farishte aur rooh nazeel hote hain,

Apne Rab ke hukm se har kaam par,

wo subah Roshan hone tak salamati ki raat hai.

Surah Qadr ki Tilawat ke Faide

Leilatul qadr ki raton mein ye surah parhke allah tala se maghfirat talab karni chahiye allah tala es din ki toba qabool farmate hai or agar koi dua karna chahe apne liye allah tala se kuch manga chahte hai to in raton mein ye surah parhke allah tala se dua kare kyunki leilatul kadr mein allah tala har dua qabool farmate hai.

Lailatul Qadr: Ek Shabab jo Hazaar Mahine se Behtar hai 

Allah subhanu tala ne es rat (yani leilatul qadr) ko hazar mahinon se behtar bnaya hai allah tala ne apne bando ke gunah ke magfirat ke liye ye rat hum per najil faramai . isliye hame chahe ke in dino ka ham khub faida uthaye allah tala ka magfirat hasil kare .

Surah Qadr ka Paigham: Allah ki Rehmat aur Maghfirat

Allah tala ne leilatul kadr ko dhundhne ka hukum diya hai , is surat se wajeh hai ki quran leilatul kadr mein utara gaya hai. Isliye is raat ki fazilat bahut hai. hame chahe ke ham quran pareh allah ka zikr kare nafil namaz pareh allah tala se khub dua kare or allah tala se magfirat talab kare.

Surah Qadr: Aakhirat mein Kamiyabi ka Zariya

Leilatul kadr ki ibadat se hamre gunah maaf hote hai hame khub neki milti hai. Iska azar bhi inshaallah bohot hai akhirat mein. In raton ki neki akhirat mein hame sifa degi kyunki rasul allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaks in raton ko iman or umid ke sath gujare uski sare pichle gunah maaf kar diye jate hai 

Conclusion:

Surah Falaq ki tilawat se Allah ki panah aur hifazat hasil hoti hai. Islamic Jankari ke zariye, humne iske fayde aur barkat ko samjha hai. Har subah aur shaam is Surah ko parh kar hum shaitan aur bure asraat se mehfooz reh sakte hain. Isse apni zindagi mein shamil karein. 

Copyright © 2024. All Rights Reserved By Counterbuddies